Dair Tak Baithe Hove Donoon ne Barish Dekhi Gulzar Poetry
Dair Tak Baithe Hove Donoon Ne Baish Dekhi
Wo Dikhaati Thi Mujhe Bijli Ki Taroon pe Latakt Hovi Boondeen
Jo Ta’aaqub men theen Ik Doosre Ke
Aur Ik Doosre Ko Choote Hove Taroon se Tapakk Jaati Theen
Mujh Ko Ye Fikar Keh Bijli Ka Current
Choo Gaya Kisi Nangi Taar Se To Aag Lag Jaane Ka Ba’aaes Hoga
Us Ne Kaghaz Ki Kayii Kashtiyaan Paani Par Utaareen
Aur Ye Keh Ke Bahaa deen Keh Samandar Men Mileen Ge
Mujh Ko Ye Fikar Keh Is Baar Bhi Seelab Ka Paani
Kood Ke Utre Ga Kuhsaar Se Jab
Torr Ke Le Jaye Ga Ye Kacche Kinaare
Auk Mn Bhar Ke Wo Barsaan Ka Paani
Aadh Bhari Jheeloon Ko Tarsaati Rahi
Wo Bahut Choti Thi, Kamsin Thi, Wo Masoom Bhi Bahut THi
Aabshaaroon Ke Tarannum Pe Qadam Rakhti Thi
Aur Main Umar Ke Afkaar Men Gum
Tajarbe Hamrah Liye
Saath He Saath Behta Huwa, Chalta Huwa, Behta Gaya
Gulzaar
Read Also: Wah Wah Subhaan Allah Ghazal By Hazrat Bedam Shah Warsi
Read Also: Jaan Hai To Jahaan Hai Mobile + Mobile
Read Also: Muraaqba Meditation Kiya Hai
Recent Comments