Aeina Kar Naina Nazam By Gulzar
Aina Kar Naina
Worth, Jo Cent Hai Matti Ka
Worth Jo Tum Ko Bhala Lagta Hai
Worth Ke Cent Ki Khushbu Thi Theater MenThi, Gayi Raat Ke Show Men
Tum Ko Dekha To Nahi, Cent Ki Khushbu Se Nazar Aati Raheen Tum
Do Do Filmeen Theen, Baiyak Waqt Jo Parde Pe Rawaan Theen
Parde Pe Chalti Hovi Film Ke Saath
Aur Aik Film Mere Zahen Pe Bhi Chalti Rahi
“Aina” Ke Role Men Jab Dekh Raha Tha Tum Ko
“Talistai” Ki Kahaani Men Hamaari Bhi Kahaani Ke Sire Jurrne Lage
Sookhi Matti Pe Chitakti Hovi Barish Ka Wo Manzar
Ghaas Ke Soondhe Hare Rang
Jisam Ki Matti Se Nikli Hovi Khushbu Ki Wo Yaadain
Manzar Raqs Men Sab Dekh Rahe The Tum Ko
Aur Paoon Ke Is Zakhmi Angoothe Pe Bandhi Hovi Patti Ko
Shot Ke Frame Men Jo Aayi Na Thi
Aur Wo Chota Adakaar Jo Is Raqs Men Be Wajja Tumheen Choo Ke Guzarta Tha
Jise Jharrka Tha Main Ne
Main Ne Kuch Shot To Katwa Bhi Diye The Us Ke
Kuhre Ke Scene Men Sach Much Hee Thatharti Hovi Mehsoos Hoveen
Halaankeh Yaad Hai Garmi Men Barre Kot Se Ulti Theen Bahut Tum
Aur Masnooyii Dhooyeen Ne Jo Kayii Aafteen Ki Theen
Hans Ke Itna Bhi Kaha Tha Tum Ne
Itni Si Aag Hai Aur Is Pe Dhooyeen Ko Ji Ghumaan Hota Hai Wo Kitna Barr Hai
Baraf Ke Scene Mne Utni Hee Haseen THeen Kall Raat
Jitni Us Raat Theen, Filma Ke Pahelgaam Se Jab Laote The
Aur Hotel Men Khabar Thi Keh Tumhaare Shaohar
Subah Ki Pehli Flight Se Wahaan Pahunche Hain
Raat Ki Raat Bahut Kuch Tha Jo Tabdeen Huwa
Tum Ne Us Raat Bhi Kuch Goliyaan Khaa Lene Ki Koshish Ki Thi
Jis Tarah Film Ke Aakhir Mne Bhi Aina Kar Naina
Khud Kushi Karti Hai Ik Rail Ke Neeche Aa Kar
Aarkhi Scene men Ji Chaha Keh Rok Doon Is Rail Ka Engine
Aankheen Band Kar Leen Keh Maloon Tha Wo “End” Mujhe
Pass Manzar Men Balakti Hovi Maosiqui Ne Is Rishte Ka Anjaam Sunaya
Jo Kabhi Baandha Tha Hum Ne
Worth Ke Cent Ki Khushbu Thi Theater Men Gayii Raat Bahut
Gulzaar
Read Also: Dair Tak Baithe Hove Donoon ne Barish Dekhi Gulzar Poetry
Read Also: Wah Wah Subhaan Allah Ghazal By Hazrat Bedam Shah Warsi
Read Also: Jaan Hai To Jahaan Hai Mobile + Mobile
Recent Comments